Ek Umr Ki Aur Zarurat Hai Wahi Sham-o-sahar Karne Ke Liye

ek umr ki aur zarurat hai wahi sham-o-sahar karne ke liye

wo baat jo tum se kah na sake use bar-e-digar karne ke liye

kabhi zikr kiya teri zulfon ka aur jati sham ko rok liya

kabhi yaad kiya tere chehre ko aaghaz-e-sahar karne ke liye

foot-path pe bhi sone na diya tere shahr ke izzat-daron ne

hum kitni dur se aae the ek raat basar karne ke liye

us aankh ne jis ki qismat mein sach-much ke dar-o-diwar na the

KHwabon ke nagar aabaad kiye hasrat ki nazar karne ke liye

is behis duniya ke aage kisi lahr ki pesh nahin jati

ab bahr ka bahr uchhaal koi ise zer-o-zabar karne ke liye

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Umr Ki Aur Zarurat Hai Wahi Sham-o-sahar Karne Ke Liye In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Ek Umr Ki Aur Zarurat Hai Wahi Sham-o-sahar Karne Ke Liye is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Ek Umr Ki Aur Zarurat Hai Wahi Sham-o-sahar Karne Ke Liye for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Ek Umr Ki Aur Zarurat Hai Wahi Sham-o-sahar Karne Ke Liye in PDF.