Zulf Dekhi Wo Dhuan-dhaar Wo Chehra Dekha

zulf dekhi wo dhuan-dhaar wo chehra dekha

sach bata dekhne wale use kaisa dekha

raat sari kisi TuTi hui kashti mein kaTi

aankh bistar pe khuli KHwab mein dariya dekha

zard galiyon mein khule sabz dariche jin mein

dhup lipTi rahi aur sae ko jalta dekha

kale kamron mein kaTi sari jawani us ki

jis ne ai subh-e-mohabbat tera rasta dekha

sunte rahte the ki yun hoga wo aisa hoga

lekin us ko to kisi aur tarah ka dekha

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf Dekhi Wo Dhuan-dhaar Wo Chehra Dekha In English By Famous Poet Ahmad Mushtaq. Zulf Dekhi Wo Dhuan-dhaar Wo Chehra Dekha is written by Ahmad Mushtaq. Read famous Poem Zulf Dekhi Wo Dhuan-dhaar Wo Chehra Dekha for youth and Student by Ahmad Mushtaq. Free Download Zulf Dekhi Wo Dhuan-dhaar Wo Chehra Dekha in PDF.