Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun

marun to main kisi chehre mein rang bhar jaun

'nadim' kash yahi ek kaam kar jaun

ye dasht-e-tark-e-mohabbat ye tere qurb ki pyas

jo izn ho to teri yaad se guzar jaun

mera wajud meri ruh ko pukarta hai

teri taraf bhi chalun to Thahar Thahar jaun

tere jamal ka partaw hai sab hasinon par

kahan kahan tujhe DhunDun kidhar kidhar jaun

main zinda tha ki tera intizar KHatm na ho

jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun

tere siwa koi shaista-wafa bhi to ho

main tere dar se jo uThun to kis ke ghar jaun

ye sochta hun ki main but-parast kyun na hua

tujhe qarib jo paun to KHud se Dar jaun

kisi chaman mein bas is KHauf se guzar na hua

kisi kali pe na bhule se panw dhar jaun

ye ji mein aati hai taKHliq-e-fan ke lamhon mein

ki KHun ban ke rag-e-sang mein utar jaun

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Marun To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun in PDF.