Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use

shuur mein kabhi ehsas mein basaun use

magar main chaar taraf be-hijab paun use

agarche fart-e-haya se nazar na aaun use

wo ruTh jae to sau tarah se manaun use

tawil hijr ka ye jabr hai ki sochta hun

jo dil mein basta hai ab hath bhi lagaun use

use bula ke mila umr bhar ka sannaTa

magar ye shauq ki ek bar phir bulaun use

andheri raat mein jab rasta nahin milta

main sochta hun kahan ja ke DhunD laun use

abhi tak us ka tasawwur to mere bas mein hai

wo dost hai to KHuda kis liye banaun use

'nadim' tark-e-mohabbat ko ek umr hui

main ab bhi soch raha hun ki bhul jaun use

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Shuur Mein Kabhi Ehsas Mein Basaun Use in PDF.