Tang Aa Jate Hain Dariya Jo Kuhistanon Mein

tang aa jate hain dariya jo kuhistanon mein

sans lene ko nikal jate hain maidanon mein

KHair ho dasht-e-nawardan-e-mohabbat ki ab

shahr baste chale jate hain bayabanon mein

ab to le leta hai baatin se yahi kaam junun

nazar aate nahin ab chaak garebanon mein

mal chori ka jo taqsim kiya choron ne

nisf to baT gaya basti ke nigahbanon mein

kaun tariKH ke is sidq ko jhuTlaega

KHair-o-shar donon muqayyad rahe zindanon mein

justuju ka koi anjam to zahir ho 'nadim'

ek musalman to nazar aae musalmanon mein

(1157) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tang Aa Jate Hain Dariya Jo Kuhistanon Mein In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Tang Aa Jate Hain Dariya Jo Kuhistanon Mein is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Tang Aa Jate Hain Dariya Jo Kuhistanon Mein for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Tang Aa Jate Hain Dariya Jo Kuhistanon Mein in PDF.