Ek Nazm

chhuTpuTe ke ghurfe mein

lamhe ab bhi milte hain

subh ke dhundalke mein

phul ab bhi khilte hain

ab bhi kohsaron par

sar-kashida hariyali

pattharon ki diwaren

toD kar nikalti hai

ab bhi aab-zaron par

kashtiyon ki surat mein

zist ki tawanai

zawiye badalti hai

ab bhi ghas ke maidan

shabnami sitaron se

mere KHak-dan par bhi

aasman sajate hain

ab bhi khet gandum ke

tez dhup mein tap kar

is gharib dharti ko

zar-fishan banate hain

saye ab bhi chalte hain

suraj ab bhi Dhalta hai

subhen ab bhi raushan hain

raaten ab bhi kali hain

zehn ab bhi chaTyal hain

ruhen ab bhi banjar hain

jism ab bhi nange hain

hath ab bhi KHali hain

ab bhi sabz faslon mein

zindagi ke rakhwale

zard zard chehron par

KHak oDhe rahte hain

ab bhi un ki taqdiren

munqalib nahin hotin

munqalib nahin hongi

kahne wale kahte hain

gardishon ki ranai

aam hi nahin hoti

apne roz-e-awwal ki

sham hi nahin hoti

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazm In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ek Nazm is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ek Nazm for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ek Nazm in PDF.