Lazzat-e-agahi

main ajib lazzat-e-agahi se do chaar hun

yahi aagahi mera lutf hai mera karb hai

ki main jaanta hun

main jaanta hun ki dil mein jitni sadaqaten hain

wo tir hain

jo chalen to naghma sunai de

jo hadaf pe ja ke lagen to kuchh bhi na bach sake

ki sadaqaton ki nafi hamari hayat hai

mere dil mein aisi haqiqaton ne panah li hai

ki jin pe ek nigah Dalna

surajon ko butun-e-jaan mein utarna hai

main jaanta hun

ki hakimon ka jo hukm hai

wo dar-asl adl ka KHauf hai

wo sazaen dete hain

aur nahin jaante

ki jitni sazaen hain

wo sitamgari ki ridaen hain

mujhe ilm hai

yahi ilm mera surur hai ye ilm mera azab hai

yahi ilm mera nasha hai

aur mujhe ilm hai

ki jo zahr hai wo nashe ka dusra nam hai

main ajib lazzat-e-agahi se do-chaar hun

(1528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lazzat-e-agahi In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Lazzat-e-agahi is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Lazzat-e-agahi for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Lazzat-e-agahi in PDF.