Qanun-e-qudrat

galiyon ki shamen bujh gain aur shahr suna ho gaya

bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya

tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan

ek dhimi dhimi tan mein gane lagin KHamoshiyan

mashriq ke parbat se ware ubhrin ghaTaen yak-ba-yak

angDaiyan lene lagin be-KHud hawaen yak-ba-yak

tare nigalti badliyan chaaron taraf chhane lagin

chham-chham phuwaron ki jhaDi dharti pe barsane lagin

kutte achanak chaunk kar bhonken dubak kar so gae

be-ras chachoDi haDDiyon ki lazzaton mein kho gae

maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin

aur khaT lene ke liye buDhe uchakte hain kahin

ek sarsarahaT si uThi lahrai tham kar rah gai

har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai

phir gungunati zulmaton ka sehr har-su chha gaya

baadal kahin gum hogae taron pe jauban aa gaya

qudarat ke sab chhoTe baDe qanun hain yaksan magar

parde paDe hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar

insan ka masum dil tarik suna shahr hai

jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahar hai

jab dekhta hai wo kahin badmast panghaT waliyan

galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan

zulfen ghaTaon ki tarah aankhen sitaron ki tarah

chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah

lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein

pagDanDiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein

sine chhalakte mai-kade aur honT paimanon ke lab

TaKHnon pe bajti jhanjhnen hansna-hansana be-sabab

ye dekh kar angDaiyan leta hai dil insan ka

aur us ki har dhaDkan pe hota hai guman tufan ka

galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti-phirti bijliyan

hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qanun-e-qudrat In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Qanun-e-qudrat is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Qanun-e-qudrat for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Qanun-e-qudrat in PDF.