Tark-e-daryuza

ab na phailaunga main dast-e-sawal

main ne dekha hai ki majbur hai tu

meri duniya se bahut dur hai tu

teri qismat mein jahanbani hai

meri taqdir mein hairani hai

bazm-e-hasti mein sar-afraaz hai tu

mere anjam ka aaghaz hai tu

tu hai aasuda-e-farsh-e-sanjab

KHuld hai tere shabistan ka jawab

masjid-e-shahr ki mehrab ka KHam

teri taqdis ki khata hai qasam

main hun ek shaer-e-awara-mizaj

aur tere farq pe aKHlaq ka taj

main ne aalam se baghawat ki hai

tu ne har shai se mohabbat ki hai!

main ne mazhab pe bhi ilzam dhara

tu ne wahmon ko bhi iman samjha

gil kahan aur KHas-o-KHashak kahan

aalam-e-pak kahan KHak kahan

ab na phailaunga main dast-e-sawal

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tark-e-daryuza In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Tark-e-daryuza is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Tark-e-daryuza for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Tark-e-daryuza in PDF.