Waqt

sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein

chand billor ki TuTi hui chuDi ki tarah aTka hai

daman-e-koh ki ek basti mein

TimTimate hain mazaron pe charagh

aasman surmai farghul mein sitare Tanke

simTa jata hai jhuka aata hai

waqt be-zar nazar aata hai

sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein

subh ki nuqrai tanwir rachi jati hai

daman-e-koh mein bikhre hue khet

lahlahate hain to dharti ke tanaffus ki sada aati hai

aasman kitni bulandi pe hai aur kitna azim

nae suraj ki shuaon ka musaffa aangan

waqt bedar nazar aata hai

sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein

aaftab ek alao ki tarah raushan hai

daman-e-koh mein chalte hue hal

sina-e-dahr pe insan ke jabrut ki tariKH raqam karte hain

aasman tez shuaon se hai is darja gudaz

jaise chhune se pighal jaega

waqt tayyar nazar aata hai

sar-bar-awurda sanobar ki ghani shaKHon mein

zindagi kitne haqaeq ko janam deti hai

daman-e-koh mein phaile hue maidanon par

zauq-e-taKHliq ne ejaz dikhae hain lahu ugla hai

aasman gardish-e-ayyam ke rele se hirasan to nahin

KHair-maqdam ke bhi andaz hua karte hain

waqt ki rah mein moD aate hain manzil to nahin aa sakti

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Waqt is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Waqt for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Waqt in PDF.