Aam Hai Kucha-o-bazar Mein Sarkar Ki Baat

aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat

ab sar-e-rah bhi hoti hai sar-e-dar ki baat

hum jo karte hain kahin misr ke bazar ki baat

log pa lete hain yusuf ke KHaridar ki baat

muddaton lab pe rahi nargis-e-bimar ki baat

kijiye ahl-e-chaman ab KHalish-e-KHar ki baat

ghunche dil-tang hawa band nasheman viran

bais-e-marg hai mere liye gham-KHwar ki baat

bu-e-gul le ke saba kunj-e-qafas tak pahunchi

lakh pardon mein bhi phaili shab-e-gulzar ki baat

zindagi dard mein Dubi hui lai hai 'rahi'

aise aalam mein kise yaad rahe pyar ki baat

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aam Hai Kucha-o-bazar Mein Sarkar Ki Baat In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Aam Hai Kucha-o-bazar Mein Sarkar Ki Baat is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Aam Hai Kucha-o-bazar Mein Sarkar Ki Baat for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Aam Hai Kucha-o-bazar Mein Sarkar Ki Baat in PDF.