Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko

din ko rahte jhil par dariya kinare raat ko

yaad rakhna chand taro is hamari baat ko

ab kahan wo mahfilen hain ab kahan wo ham-nashin

ab kahan se laen un guzre hue lamhat ko

paD chuki hain utni girhen kuchh samajh aata nahin

kaise suljhaen bhala uljhe hue haalat ko

kitni tufani thin raaten jin mein do diwane dil

thapkiyan dete rahe bhaDke hue jazbaat ko

dard mein Dubi hui lai ban gai hai zindagi

bhul jate kash hum ulfat-bhare naghmat ko

wo ki apne pyar ki thi bhigi bhigi ibtida

yaad kar ke ro diya dil aaj us barsat ko

(1413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Din Ko Rahte Jhil Par Dariya Kinare Raat Ko in PDF.