Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai

gham-e-hayat mein koi kami nahin aai

nazar-fareb thi teri jamal-arai

wo dastan jo teri dilkashi ne chheDi thi

hazar bar meri sadgi ne dohrai

fasane aam sahi meri chashm-e-hairan ke

tamasha bante rahe hain yahan tamashai

teri wafa teri majburiyan baja lekin

ye sozish-e-gham-e-hijran ye sard tanhai

kisi ke husn-e-tamanna ka pas hai warna

mujhe KHayal-e-jahan hai na KHauf-e-ruswai

main sochta hun zamane ka haal kya hoga

agar ye uljhi hui zulf tu ne suljhai

kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin

bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Gham-e-hayat Mein Koi Kami Nahin Aai in PDF.