Lamha Lamha Shumar Kaun Kare
lamha lamha shumar kaun kare
umr bhar intizar kaun kare
koi wada bhi to wafa na hua
be-wafaon se pyar kaun kare
shab-e-tira-o-tar ka daman
dekhiye tar tar kaun kare
dosti ek lafz-e-be-mani
kis pe ab inhisar kaun kare
ai gham-e-dost tere hote hue
gham-e-lail-o-nahaar kaun kare
tere is dard-e-la-dawa ka ilaj
dil-e-zar-o-nazar kaun kare
silsila TuTna tha TuT gaya
ab use ustuwar kaun kare
(920) Peoples Rate This