Main Dil-zada Hun Agar Dil-figar Wo Bhi Hain
main dil-zada hun agar dil-figar wo bhi hain
ki dard-e-ishq ke ab dawedar wo bhi hain
hua hai jin ke karam se dil o nazar ka ziyan
ba-faiz-e-waqt mere gham-gusar wo bhi hain
shahid jazbon ki fahrist kya murattab ho
shumar mein jo nahin be-shumar wo bhi hain
dil-e-tabah! ye aasar hain qayamat ke
rahin-e-gardish-e-lail-o-nahaar wo bhi hain
harim-e-husn ki tazin the jo paikar-e-naz
ba-haal-e-zar sar-e-rahguzar wo bhi hain
wo jin se aam hui dastan-e-ahd-e-junun
tere gunah dil-e-na-karda-kar wo bhi hain
(829) Peoples Rate This