Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae

ye dastan-e-gham-e-dil kahan kahi jae

yahan to khul ke koi baat bhi na ki jae

tumhaare hath sahi faisla magar phir bhi

zara asir ki rudad to suni jae

ye raat din ka taDapna bhi kya qayamat hai

jo tum nahin to tumhaara KHayal bhi jae

ab is se baDh ke bhala aur kya sitam hoga

zaban khul na sake aankh dekhti jae

ye chaak chaak gareban nahin hai diwane

jise bas ek chhalakti nazar hi si jae

koi sabil ki ye sehr-e-jaan-gusil TuTe

koi ilaj ki ye daur-e-bebasi jae

(896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Ye Dastan-e-gham-e-dil Kahan Kahi Jae in PDF.