Sarab

main jahan tha

wahan tirgi thi KHamoshi thi afsurdagi thi

mere kan naghmon se mahrum the

siskiyan mere honTon ki miras thin

meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir thin

meri zindagi rakh ka Dher thi

main yahan aa gaya

is tarah KHuld mein

us musalsal aziyyat se kahish se bachne ki KHatir

ki jis se faqat ek main hi nahin

mere jaise kai aur bhi jaan-ba-lab the

tera KHuld mere liye

mere jaise kai dusron ke liye

raushni naghmagi sarKHushi ki alamat tha ye!

main jahan hun

wahan tirgi hai KHamoshi hai afsurdagi hai

mere kan naghmon se mahrum hain

siskiyan mere kanon ki miras hain

meri aankhen kisi sail-e-pur-nur ki muntazir hain

meri zindagi rakh ka Dher hai!

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarab In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Sarab is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Sarab for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Sarab in PDF.