Wo Mar Gaya Sada-e-nauha-gar Mein Kitni Der Hai

wo mar gaya sada-e-nauha-gar mein kitni der hai

ki saneha to ho chuka KHabar mein kitni der hai

hamare shahr ki riwayaton mein ek ye bhi tha

dua se qabl puchhna asar mein kitni der hai

muqabla hai raqs ka bagula kab ka aa chuka

magar pata nahin abhi bhanwar mein kitni der hai

KHuda-e-mahr aasman ujal de ki yun na ho

diye ko puchhna paDe sahar mein kitni der hai

hazar kufa o halab guzar rahe hain rose o shab

main jis taraf chala hun us nagar mein kitni der hai

KHirad ki tez dhup mein junun ka saeban khila

main bij bo chuka so ab shajar mein kitni der hai

abhi hamein guzarni hai ek umr-e-muKHtasar

magar hamari umr-e-muKHtasar mein kitni der hai

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mar Gaya Sada-e-nauha-gar Mein Kitni Der Hai In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Wo Mar Gaya Sada-e-nauha-gar Mein Kitni Der Hai is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Wo Mar Gaya Sada-e-nauha-gar Mein Kitni Der Hai for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Wo Mar Gaya Sada-e-nauha-gar Mein Kitni Der Hai in PDF.