Phul Ki Rangat Maine Dekhi Dard Ki Rangat Dekhe Kaun

phul ki rangat main ne dekhi dard ki rangat dekhe kaun

pyar ka git suna hai sab ne dhun thi kaisi soche kaun

dhup ne tan-man phunk diya to sae mein aa baiTha tha

shaKH shaKH mein aag chhupi hai peD ke niche baiThe kaun

apne dard ko gard samajh kar manzil manzil chhoD diya

aaine par dhul jami hai aaine mein dekhe kaun

ang ang se rang rang ke phul baraste dekhe kaun

rang rang se shole barse kaise barse soche kaun

fan tartib ka zewar le kar gulshan gulshan ubhra hai

be-tartibi husn hai jis ka us fankar se uljhe kaun

mere coat ka maila collar aur numayan hota hai

pagal saj-dhaj rakhne wale tere samne baiThe kaun

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Ki Rangat Maine Dekhi Dard Ki Rangat Dekhe Kaun In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Phul Ki Rangat Maine Dekhi Dard Ki Rangat Dekhe Kaun is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Phul Ki Rangat Maine Dekhi Dard Ki Rangat Dekhe Kaun for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Phul Ki Rangat Maine Dekhi Dard Ki Rangat Dekhe Kaun in PDF.