Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun

zahr ko mai na kahun mai ko gawara na kahun

raushni mang ke main KHud ko sitara na kahun

apni palkon pe liye phirta hun chahat ke sarab

dil ke sahra ko samundar ka kinara na kahun

hijr ke phul mein wo chehra-e-zarrin dekhun

wasl ke KHwab ko milne ka ishaara na kahun

marte marte bhi ye tahrir amanat meri

maut ke baad bhi jine ko KHasara na kahun

apni takmil ke har naqsh mein dekhun us ko

arsa-e-dahr ko hasrat ka nazara na kahun

hashr se pahle mere hashr ki taswir na ban

harf-e-aKHir ko kisi taur dobara na kahun

zindagi jis ki mere dam se ibarat ho 'zafar'

kyun kahe koi use jaan se pyara na kahun

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Zahr Ko Mai Na Kahun Mai Ko Gawara Na Kahun in PDF.