Umr Ka AaKHiri Din

yahan mere andar daraKHton ki kitni qataren sulagti rahengi

wahan tere andar taDapte hue lafz lamhe

parinde qataron mein baiThe hue ro rahe hain

daraKHton ke pichhe kai chand TuTe hue reza reza

lahu mein nahae hue kitne suraj mazaron ke katbe!

kahin Dhol ki thap par raqs-e-marg-e-musalsal

kahin daldalon mein utarte hue jism jaise

gunahgar apne kiye ki saza pa rahe hain

na tu apni palkon ke kale pharere uTha kar kahin ja rahi hai

na main koi parcham uThae hue chal raha hun

mere pas baiTha hua jism mujh se ye kyun puchhta hai

kisi gul ki mahiyat-e-rang kya hai?

sitaron ka aahang kya hai?

ye KHushbu hai ya barish-e-sang kya hai

ye sab zinda rahne ke hile wasile abas hain

azal se abad tak wahi silsila hai

yahan se wahan tak wahi dhund phaili hui hai

magar dhund se kaise niklen yahi sochte sochte mar gae hum

zamin se shajar ka janam zindagi ki alamat magar maut bhi hai

meri umr ka aaKHiri din

kisi bab-e-atish-zada par khaDa muskurane laga hai

kahin hijr ki saaten ginte ginte mujhe nind aai hui hai

shumar-e-sitara ne shayad mere dil ki rangin KHaliyon mein

kale lahu ki ibarat likhi hai

samundar mein Duba hua ek makan jal raha hai

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Ka AaKHiri Din In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Umr Ka AaKHiri Din is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Umr Ka AaKHiri Din for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Umr Ka AaKHiri Din in PDF.