Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua

fikr ke sare dhage TuTe zehn bhi ab mazur hua

ab ke bahaar ye kaisi aai kaisa ye dastur hua

kal-purzon ka ruh-e-rawan ye aur wo sarmae ki jonk

lekin us ki nazron mein ye dharti ka nasur hua

din ki safedi teri nazar mein raat ki kali chadar hai

raat ka KHuni andhiyara bhi teri nazar mein nur hua

jab se dekha hai kheton mein main ne zalim dhup ka rup

tab se teri zulf ka saya dur bahut hi dur hua

zulm ko us ne zulm kaha hai jabr ko us ne jabr kaha

yani 'ziya' ab 'ziya' nahin hai waqt ka wo mansur hua

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua In English By Famous Poet Ahmad Ziya. Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua is written by Ahmad Ziya. Read famous Poem Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua for youth and Student by Ahmad Ziya. Free Download Fikr Ke Sare Dhage TuTe Zehn Bhi Ab Mazur Hua in PDF.