Ang Ang Jhalak UThta Hai Angon Ke Darpan Ke Beach

ang ang jhalak uThta hai angon ke darpan ke beach

mansarower umDe umDe hain bharpur badan ke beach

chand angDai par angDai lete hain joban ke beach

maddham maddham dip jale hain soe soe nayan ke beach

mukhDe ke kai rup dudhiya chandni bhor sunahri dhup

raat ki kaliyan chuTki chuTki si baalon ke ban ke beach

mathura ke peDon se kulhe chikne chikne se gore

rup nirt ke jage jage chhatiyon ki thirkan ke beach

jaise hiron ka minara chamke ghor andhere mein

diwali ke dip jale hain choli aur daman ke beach

man mein basa kar murat ek an-dekhi kaamani radha ki

'ahmad' hum to kho gae brindaban ki kunj galiyan ke beach

(601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ang Ang Jhalak UThta Hai Angon Ke Darpan Ke Beach In English By Famous Poet Ahsan Ahmad Ashk. Ang Ang Jhalak UThta Hai Angon Ke Darpan Ke Beach is written by Ahsan Ahmad Ashk. Read famous Poem Ang Ang Jhalak UThta Hai Angon Ke Darpan Ke Beach for youth and Student by Ahsan Ahmad Ashk. Free Download Ang Ang Jhalak UThta Hai Angon Ke Darpan Ke Beach in PDF.