Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka

ek nazar mein dard kho dena dil-e-bimar ka

ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka

ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr mein

ho na jab tak kuchh ishaara aap ki raftar ka

hazrat-e-adam se ta in dam hue sab ishq dost

hai azal se daur daura husn ki sarkar ka

hum jo mar kar ji uThe is par tajjub kya ki hai

wo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka

aap ke ghamze uThaun ghair ke tane sunun

banda parwar main ne chhoDa ishq bhi sarkar ka

aablon ko sar uThane ki zara mohlat nahin

hai karam sahra-nawardi mein ye nok-e-KHar ka

is se baDh kar aap 'ahsan' chahte hain aur kya

doston ki dad hai goya sila ashaar ka

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Ek Nazar Mein Dard Kho Dena Dil-e-bimar Ka in PDF.