Jab Tak Apne Dil Mein Un Ka Gham Raha
jab tak apne dil mein un ka gham raha
hasraton ka raat din matam raha
hijr mein dil ka na tha sathi koi
dard uTh uTh kar sharik-e-gham raha
kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha
saikDon sar tan se kar Dale juda
un ke KHanjar ka wahi dam-KHam raha
aaj ek shor-e-qayamat tha bapa
tere kushto ka ajab aalam raha
hasraten mil mil ke rotin yas se
yun dil-e-marhum ka matam raha
le gaya ta ku-e-yar 'ahsan' wahi
muddai kab doston se kam raha
(674) Peoples Rate This