Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere Dil Mein Nahin

sang-e-dar ban kar bhi kya hasrat mere dil mein nahin

tere qadmon mein hun lekin teri mahfil mein nahin

rah-e-ulfat ka nishan ye hai ki wo hai be-nishan

jada kaisa naqsh-e-pa tak koi manzil mein nahin

kho chuke ro ro ke ghar bahar ki sari kaenat

ashk kaise aankh mein ab KHun bhi dil mein nahin

bazm-arai se pahle dekh o nadan dekh

kaun hai mahfil mein teri kaun mahfil mein nahin

puchhta hai aarzu 'ahsan' ki tu kya bar bar

tere milne ke siwa koi hawas dil mein nahin

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere Dil Mein Nahin In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere Dil Mein Nahin is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere Dil Mein Nahin for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Sang-e-dar Ban Kar Bhi Kya Hasrat Mere Dil Mein Nahin in PDF.