KaT Gai Kohre Ki Chadar Sard Hawa Ki Tezi Map

kaT gai kohre ki chadar sard hawa ki tezi map

ukDun baiTha is wadi ki tanhai mein thar-thar kanp

marmar ki unchai chaDhte phisla hai to rona kya

panw pasare kichaD mein ukhDi sanson ki mala jap

uDte panchhi pyasi nazron ki pahchan se aari hain

tez hui jati hain kirnen thap saheli gobar thap

phuTi chuDi TuTi dhanak rangon ka sehr bikharta sa

sune ufuq par bahte baadal garm tawe se uThti bhap

banson ke jangal ki chilman husn jhalakta manzil ka

baDhte hue qadmon ki tak mein sukhe hue patton par sanp

garm-e-safar hai garm-e-safar rah muD muD kar mat pichhe dekh

ek do manzil sath chalegi paTke hue qadmon ki chap

jhum rahi hai bhanwar mein kashti sahil-o-tufan raqs mein hain

thaki hui aankhen so jaen aisa koi rag alap

dekh phaphund lagi diwaren majlis bhi ban sakti hain

tufani mausam hai 'shafiq' ab aur kahin ka rasta nap

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KaT Gai Kohre Ki Chadar Sard Hawa Ki Tezi Map In English By Famous Poet Ahsan Shafiq. KaT Gai Kohre Ki Chadar Sard Hawa Ki Tezi Map is written by Ahsan Shafiq. Read famous Poem KaT Gai Kohre Ki Chadar Sard Hawa Ki Tezi Map for youth and Student by Ahsan Shafiq. Free Download KaT Gai Kohre Ki Chadar Sard Hawa Ki Tezi Map in PDF.