Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka Dubo Sake

kaghaz ki naw hun jise tinka Dubo sake

yun bhi nahin ki aap se ye bhi na ho sake

barsat tham chuki hai magar har shajar ke pas

itna to hai ki aap ka daman bhigo sake

ai chiKHti hawao ke sailab shukriya

itna to ho ki aadmi suli pe so sake

dariya pe band bandh kar roko jagah jagah

aisa na ho ki aadmi ji bhar ke ro sake

halki si raushni ke farishte hain aas-pas

palkon mein bund bund jahan tak piro sake

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka Dubo Sake In English By Famous Poet Ahsan Yusuf Zai. Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka Dubo Sake is written by Ahsan Yusuf Zai. Read famous Poem Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka Dubo Sake for youth and Student by Ahsan Yusuf Zai. Free Download Kaghaz Ki Naw Hun Jise Tinka Dubo Sake in PDF.