Aahon Ki Aazaron Ki Aawazen Thin

aahon ki aazaron ki aawazen thin

rah mein gham ke maron ki aawazen thin

dur KHala mein ek siyahi phaili thi

basti mein angaron ki aawazen thin

aankhon mein KHwabon ne shor machaya tha

aasman par taron ki aawazen thin

ghar ke bahar aawazen thin raston ki

aur ghar mein diwaron ki aawazen thin

ab mujh mein ek sannaTe ki chiKHen hai

pahle kuchh bimaron ki aawazen thin

us basti pe majburi ka saya tha

ghar ghar mein bazaron ki aawazen thin

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aahon Ki Aazaron Ki Aawazen Thin In English By Famous Poet Ain Irfan. Aahon Ki Aazaron Ki Aawazen Thin is written by Ain Irfan. Read famous Poem Aahon Ki Aazaron Ki Aawazen Thin for youth and Student by Ain Irfan. Free Download Aahon Ki Aazaron Ki Aawazen Thin in PDF.