Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun

guzarte waqt ko buniyaad karne wala hun

jo sab bhulate hain wo yaad karne wala hun

main wo nahin hun ki fariyaad karne wala hun

sukut ko suKHan-ijad karne wala hun

andheri raat aur us par mere charagh ka zoam

ujaDti bazm ko aabaad karne wala hun

main apna kar-e-wafa aazmaunga phir bhi

kahan main tere sitam yaad karne wala hun

main andalib hun ek gulshan-e-mohabbat ka

so main bhi kuchh mere sayyaad karne wala hun

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun In English By Famous Poet Ain Tabish. Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun is written by Ain Tabish. Read famous Poem Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Guzarte Waqt Ko Buniyaad Karne Wala Hun in PDF.