Ji Rahe Hain Aafiyat Mein To Hunar KHwabon Ka Hai

ji rahe hain aafiyat mein to hunar KHwabon ka hai

ab bhi lagta hai ki ye sara safar KHwabon ka hai

ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se

zindagi kya hai miyan bas ek ghar KHwabon ka hai

raat chalti rahti hai aur jalta rahta hai charagh

ek bujhta hai to phir naqsh-e-digar KHwabon ka hai

rang bazar-e-KHirad ka aur ye mera junun

ek sitara gumbad-e-aflak par KHwabon ka hai

raat ka dariya aur us mein ek tufan-e-muhib

jagna hai der tak ye bhi asar KHwabon ka hai

warna kaT jate hain roz o shab zamane ki tarah

jo bhi thoDa ya bahut samjho to Dar KHwabon ka hai

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Rahe Hain Aafiyat Mein To Hunar KHwabon Ka Hai In English By Famous Poet Ain Tabish. Ji Rahe Hain Aafiyat Mein To Hunar KHwabon Ka Hai is written by Ain Tabish. Read famous Poem Ji Rahe Hain Aafiyat Mein To Hunar KHwabon Ka Hai for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Ji Rahe Hain Aafiyat Mein To Hunar KHwabon Ka Hai in PDF.