Mujhko Na-karda Gunah Ka Motarif Hona PaDa

mujh ko na-karda gunah ka mo'tarif hona paDa

rasm aisi thi ki KHud se munharif hona paDa

koi bhi mujh sa na tha bebak bazm-e-shauq mein

is tarah mujh ko sabhon se muKHtalif hona paDa

ek hi shai thi ki jis par bach raha tha e'timad

pas mujhe apni ana se muttasif hona paDa

wo yaqinan raaz-andar-raaz tha lekin use

ek din mujh na-tawan par munkashif hona paDa

kya bataun mabad-e-tanhai mein mujh rind ko

umr-bhar ke waste kyun moatakif hona paDa

(758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Na-karda Gunah Ka Motarif Hona PaDa In English By Famous Poet Ain Tabish. Mujhko Na-karda Gunah Ka Motarif Hona PaDa is written by Ain Tabish. Read famous Poem Mujhko Na-karda Gunah Ka Motarif Hona PaDa for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Mujhko Na-karda Gunah Ka Motarif Hona PaDa in PDF.