Badalne Ka Koi Mausam Nahin Hota

chale the log jab ghar se

to ek wade ki taKHti apni peshani par

rakh kar lae the

jis ki gawahi mein

safar ko aage baDhna tha

aur us ke sath

KHwabon KHwahishon ke nam

us viran ghar ko aage baDhna tha

to ek wade ki taKHti thi

bahut din tak jo raushan thi sarabon mein

purani dastanen jagti taza nisabon mein

bahut din tak hawa mein sandali KHushbu mahakti thi

safar mein chandni ghar ki chhiTakti thi

chale the log jab ghar se

bahut manus the

har gum-shuda viran manzar se

chale the log jab ghar se

purani baat lagti hai

bahut si kaDiyan jaise bich se

ab TuTti jati hain

ruten guzrin hui ab hath se

yun chhuTti jati hain

jaise aayaten bujhne lagi hon

sail-e-zulmat mein

wo ek wade ki taKHti gum hui

tufan-e-hairat mein

badalne ka koi mausam nahin hota

bahut din jab badalne mein guzar jate hain

kuchh badle hue ka gham nahin hota

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badalne Ka Koi Mausam Nahin Hota In English By Famous Poet Ain Tabish. Badalne Ka Koi Mausam Nahin Hota is written by Ain Tabish. Read famous Poem Badalne Ka Koi Mausam Nahin Hota for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Badalne Ka Koi Mausam Nahin Hota in PDF.