Maine Jab Had Se Guzarne Ka Irada Kar Liya

main ne jab had se guzarne ka irada kar liya

manzil-e-dushwar ko tai pa-piyaada kar liya

be-haqiqat ho gae meri nazar mein mehr-o-mah

main ne jab ghar ke diye se istifada kar liya

aansuon ne gham ko uryan kar diya hota magar

dil ki ghairat ne tabassum ko labaada kar liya

amn ki sab shahrahen tang ho kar rah gain

hadson ne rasta kitna kushada kar liya

umr bhar 'azim' rahega nashsha-e-gham ka KHumar

aankh ko paimana-e-KHun dil ko baada kar liya

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Jab Had Se Guzarne Ka Irada Kar Liya In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Maine Jab Had Se Guzarne Ka Irada Kar Liya is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Maine Jab Had Se Guzarne Ka Irada Kar Liya for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Maine Jab Had Se Guzarne Ka Irada Kar Liya in PDF.