Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak

mujhi mein jita hai suraj tamam hone tak

main apne jism mein aata hun sham hone tak

KHabar mili hai mujhe aaj apne hone ki

kahin ye jhuT na ho jae aam hone tak

kahan ye jurat-e-izhaar thi kisi shai mein

sukut-e-shab se mere ham-kalam hone tak

ye puKHtagi thi ghamon mein na dhaDkanon mein sabaat

tumhaare dard ka dil mein qayam hone tak

ye chand tare meri dastaras se dur nahin

ki fasle hain mere tez-gam hone tak

guzar rahe hain nazar se nazar milae baghair

Thahar bhi jaiye ek ek jam hone tak

diye bujha diye jate hain subh tak 'azim'

mera hawala diya us ne nam hone tak

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Mujhi Mein Jita Hai Suraj Tamam Hone Tak in PDF.