Dost Jab Dil Sa Aashna Hi Nahin

dost jab dil sa aashna hi nahin

ab hamein ghair ka gila hi nahin

jis ka dil dard-ashna hi nahin

us ke jine ka kuchh maza hi nahin

ek dam hum se wo juda hi nahin

gar juda ho to wo KHuda hi nahin

aashnai pe us ki mat jaana

le ke dil phir wo aashna hi nahin

KHak chhani jahan ki lekin

dil-e-gum-gashta ka pata hi nahin

lakh mashuq hain jahan mein magar

aah wo naz wo ada hi nahin

sai-e-be-faeda hai chaaragaro

maraz-e-ishq ki dawa hi nahin

dard-e-dil un se hum kaha hi kiye

par unhon ne kabhi suna hi nahin

sar phiraata hai kyun abas naseh

mera kahne mein dil raha hi nahin

ab wo aae to aaen kya hasil

taqat-e-arz-e-muddaa hi nahin

main to kya gosh-e-charKH ne bhi 'aish'

aisa bedad-gar suna hi nahin

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dost Jab Dil Sa Aashna Hi Nahin In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Dost Jab Dil Sa Aashna Hi Nahin is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Dost Jab Dil Sa Aashna Hi Nahin for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Dost Jab Dil Sa Aashna Hi Nahin in PDF.