Na ChhoDi Gham Ne Mere Ek Jigar Mein KHun Ki Bund

na chhoDi gham ne mere ek jigar mein KHun ki bund

kahan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar mein asar

ho us ke sath ye be-iltifati-e-gul kyun

jo andalib ke ho nala-e-sahar mein asar

kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom

rakkha hai KHas KHuda ne ye sim o zar mein asar

jo aah ne falak-e-pir ko hila Dala

to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar mein asar

jo dekh le to jahannam ki phere bandh jae

hai meri aah ke wo ek ek sharar mein asar

bigaDen charKH se hum 'aish' kis bharose par

na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na ChhoDi Gham Ne Mere Ek Jigar Mein KHun Ki Bund In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Na ChhoDi Gham Ne Mere Ek Jigar Mein KHun Ki Bund is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Na ChhoDi Gham Ne Mere Ek Jigar Mein KHun Ki Bund for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Na ChhoDi Gham Ne Mere Ek Jigar Mein KHun Ki Bund in PDF.