Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai

aankhon se ayan zaKHm ki gahrai to ab hai

ab aa bhi chuko waqt-e-masihai to ab hai

pahle gham-e-furqat ke ye tewar to nahin the

rag rag mein utarti hui tanhai to ab hai

tari hai tamannaon pe sakraat ka aalam

har sans rifaqat ki tamannai to ab hai

kal tak meri wahshat se faqat tum hi the aagah

har gam pe andesha-e-ruswai to ab hai

kya jaane mahakti hui subhon mein koi dil

shamon mein kisi dard ki ranai to ab hai

dil-soz ye tare hain to jaan-soz ye mahtab

dar-asal shab-e-anjuman-arai to ab hai

saf-basta hain har moD pe kuchh sang-ba-kaf log

ai zaKHm-e-hunar lutf-e-pazirai to ab hai

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Aankhon Se Ayan ZaKHm Ki Gahrai To Ab Hai in PDF.