Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ki Jo Hijr Tha Na Visal Tha

mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha

mere mausamon ke mizaj-dan tujhe mera kitna KHayal tha

kisi aur chehre ko dekh kar teri shakl zehn mein aa gai

tera nam le ke mila use mere hafize ka ye haal tha

kabhi mausamon ke sarab mein kabhi baam-o-dar ke azab mein

wahan umr hum ne guzar di jahan sans lena muhaal tha

kabhi tu ne ghaur nahin kiya ki ye log kaise ujaD gae

koi 'mir' jaisa girafta-dil tere samne ki misal tha

tere baad koi nahin mila jo ye haal dekh ke puchhta

mujhe kis ki aag jala gai mere dil ko kis ka malal tha

kahin KHun-e-dil se likha to tha tere sal-e-hijr ka saneha

wo adhuri Diary kho gai wo na-jaane kaun sa sal tha

(3027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ki Jo Hijr Tha Na Visal Tha In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ki Jo Hijr Tha Na Visal Tha is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ki Jo Hijr Tha Na Visal Tha for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya Ki Jo Hijr Tha Na Visal Tha in PDF.