Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin

tumhein KHayal-e-zat hai shuur-e-zat hi nahin

KHata muaf ye tumhaare bas ki baat hi nahin

ghazal faza bhi DhunDti hai apne KHas rang ki

hamara masala faqat qalam dawat hi nahin

hamari saaton ke hissa-dar aur log hain

hamare samne faqat hamari zat hi nahin

waraq waraq pe Diary mein aansuon ka nam bhi hai

ye sirf barishon se bhige kaghzat hi nahin

kahaniyon ka rup de ke hum jinhen suna saken

hamari zindagi mein aise waqiat hi nahin

kisi ka nam aa gaya tha yunhi darmiyan mein

ab is ka zikr kya karen jab aisi baat hi nahin

(1605) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Tumhein KHayal-e-zat Hai Shuur-e-zat Hi Nahin in PDF.