Ashkon Se Kab MiTe Hain Daman Ke Dagh Yaro

ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro

aise nahin bujhenge gham ke charagh yaro

har aadmi ke qad se us ki qaba baDi hai

suraj pahan ke nikle dhundle charagh yaro

un mein KHayal-e-nau ke kaise ugenge paude

banjar hain mazhabon se jin ke dimagh yaro

roz-e-azal se insan hai khoj mein KHuda ki

kis ko mila hai lekin us ka suragh yaro

aankhon mein ab na aansu dil mein bhi gham nahin hai

kab ke chhalak chuke hain sare ayagh yaro

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashkon Se Kab MiTe Hain Daman Ke Dagh Yaro In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Ashkon Se Kab MiTe Hain Daman Ke Dagh Yaro is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Ashkon Se Kab MiTe Hain Daman Ke Dagh Yaro for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Ashkon Se Kab MiTe Hain Daman Ke Dagh Yaro in PDF.