Bikhra Hun Jab Main KHud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun

bikhra hun jab main KHud yahan koi mujhe girae kyun

pahle se rakh rakh hun phir bhi koi bujhae kyun

isa na wo nabi koi adna sa aadmi koi

phir bhi salib-e-dard ko sar pe koi uThaen kyun

sare jo gham-gusar the kab ke raqib ban chuke

aise mein doston koi apna ye gham sunae kyun

yakta wo zat-e-akbari dil ye haqiro asghari

itni wasia shai bhala dil mein mere samae kyun

palta hamare KHun se hai ishq magar adu se hai

apna nahin jo bewafa hum ko yun aazmae kyun

subh ka waqt aae to KHud hi bujhega ye charagh

is ko sahar se peshtar koi magar bujhae kyun

jis par giri hai barq bhi jis pe hawa ki hai nazar

shaKHon mein aisi ai 'sahab' ghar bhi koi banae kyun

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikhra Hun Jab Main KHud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Bikhra Hun Jab Main KHud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Bikhra Hun Jab Main KHud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Bikhra Hun Jab Main KHud Yahan Koi Mujhe Girae Kyun in PDF.