Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae

yun hi har baat pe hansne ka bahana aae

phir wo masum sa bachpan ka zamana aae

kash lauTen mere papa bhi khilaune le kar

kash phir se mere hathon mein KHazana aae

kash duniya ki bhi fitrat ho meri man jaisi

jab main bin baat ke ruThun to manana aae

hum ko qudrat hi sikha deti hai kitni baaten

kash ustadon ko qudrat sa paDhana aae

aah sahsa kabhi school se chhuTTi jo mile

chiKH kar bachchon ka wo shor machana aae

aaj bachpan kahin baston mein hi uljha hai 'sahab'

phir wo titli ko pakaDna wo uDana aae

(1709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae In English By Famous Poet Ajay Sahaab. Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae is written by Ajay Sahaab. Read famous Poem Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae for youth and Student by Ajay Sahaab. Free Download Yun Hi Har Baat Pe Hansne Ka Bahana Aae in PDF.