Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle

agar faqir se milna hai to sambhal pahle

amir ban ke na ja pairahan badal pahle

paDegi tujh pe sunahri kiran mohabbat ki

harim-e-zat ke jangal se KHud nikal pahle

salam kahne ko aaegi KHud-baKHud manzil

mohabbaton ke kaThin raston pe chal pahle

jaTaen kanch ke bande to KHub hain lekin

tu KHwahishon pe bhi jogi bhabhut mal pahle

shumar tera bhi hoga kamal walon mein

kisi kamal ke sanche mein tu bhi Dhal pahle

tere payam hi se surKH ho gaya hai badan

ki meinh paDa nahin hai khil uThe kanwal pahle

suKHan-waron ki riyazat pe phir gaya pani

sunai shoKH nigahon ne wo ghazal pahle

hile na honT na aankhon ne lab-kushai ki

jabin-e-husn pe kyun paD gae hain bal pahle

tujhe salam kare uTh ke kis tarah 'hasrat'

tu aaya der se aur aa gai ajal pahle

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle In English By Famous Poet Ajeet Singh Hasrat. Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle is written by Ajeet Singh Hasrat. Read famous Poem Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle for youth and Student by Ajeet Singh Hasrat. Free Download Agar Faqir Se Milna Hai To Sambhal Pahle in PDF.