KHak Mein Milna Tha AaKHir Be-nishan Hona Hi Tha

KHak mein milna tha aaKHir be-nishan hona hi tha

jalne wale ke muqaddar mein dhuan hona hi tha

hum na kahte the ki dide phuT jaenge tere

raat din rone se aankhon ka ziyan hona hi tha

harf-e-sakit ban gaya taqtia se KHarij hua

is ghazal ki bazm se mujh ko nihan hona hi tha

kya hua jo bhul baiThe hain sabhi qari mujhe

ek na ek din mujh ko bhuli dastan hona hi tha

dhaar par chalna tha mujh ko kudna tha aag mein

zindagi mein ek din ye imtihan hona hi tha

rui ban kar uD gae parbat zamin hai zer-e-ab

ye karishma bhi to zer-e-asman hona hi tha

sabr kar 'hasrat' na ro ujDe chaman ko dekh kar

didani manzar ko aankhon se nihan hona hi tha

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Mein Milna Tha AaKHir Be-nishan Hona Hi Tha In English By Famous Poet Ajeet Singh Hasrat. KHak Mein Milna Tha AaKHir Be-nishan Hona Hi Tha is written by Ajeet Singh Hasrat. Read famous Poem KHak Mein Milna Tha AaKHir Be-nishan Hona Hi Tha for youth and Student by Ajeet Singh Hasrat. Free Download KHak Mein Milna Tha AaKHir Be-nishan Hona Hi Tha in PDF.