MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun

muKHalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun

kabhi jab waqt paDta hai to KHud ko aazmata hun

main shahzada hawa ka hun KHala meri riyasat hai

kabhi main uDte uDte aasman ko phand jata hun

kabhi main ret hi se khelta rahta hun bachchon sa

kabhi main zat ke gahre samundar mein nahata hun

kabhi be-KHud paDa rahta hun main parda-nashin ho kar

kabhi fitrat ke ek ek raaz se parde uThata hun

kabhi ehsas ka ek KHar chubh jae to ro uTThun

kabhi main dar ke taKHte pe chaDh kar muskuraata hun

kabhi main rote rote hans diya karta hun pagal sa

kabhi main hanste hanste aansuon se bhig jata hun

kabhi main be-his-o-harakat paDa rahta hun pahron tak

kabhi main zindagi ke saz par naghme sunata hun

kabhi zarKHez dharti ko bhi KHatir mein nahin lata

kabhi banjar zamin mein aas ke paude lagata hun

main ek qatra hun lekin ab samundar ban gaya samho

main ek naddi se mil kar su-e-manzil bhaga jata hun

meri fitrat ajab hai aaj tak main bhi nahin samjha

wo jin ke par nahin hote unhen uDna sikhata hun

main gahre paniyon ko chir deta hun magar 'hasrat'

jahan pani bahut kam ho wahan main Dub jata hun

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun In English By Famous Poet Ajeet Singh Hasrat. MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun is written by Ajeet Singh Hasrat. Read famous Poem MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun for youth and Student by Ajeet Singh Hasrat. Free Download MuKhaalif Aandhiyon Mein Azm Ke Dipak Jalata Hun in PDF.