Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui

dard-e-musalsal se aahon mein paida wo tasir hui

aksar chaaragaron ki haalat mujh se siwa gambhir hui

kya jaane kyun mujh se meri bargashta taqdir hui

mamlikat-e-aish aankh jhapakte hi gham ki jagir hui

us ne mere shisha-e-dil ko dekh ke kyun munh moD liya

shayad is aaine mein us ko zahir koi lakir hui

jab bhi likkha haal-e-dil-e-muztar main ne us ko raat gae

ta-ba-sahar ashk-afshani se zaea wo tahrir hui

baDhti jati hai duri-e-manzil jab se junun ne chhoDa sath

ab to KHirad har gam par apne pairon ki zanjir hui

mujh ko ata karte wo yaqinan meri talab se siwa lekin

KHuddari mein hath na phaila sharm jo daman-gir hui

kis ko KHabar hai un ki gali mein kitne dilon ka KHun hua

ranai mein un ki gali jab wadi-e-kashmir hui

un se karun izhaar-e-tamanna socha rakh kar uzr-e-junun

lekin wo bhi ras na aaya la-hasil tadbir hui

Tap-Tap aankh se aansu Tapke 'ajiz' aah-e-sard ke sath

mere samne nazr-e-atish jab meri taswir hui

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Dard-e-musalsal Se Aahon Mein Paida Wo Tasir Hui in PDF.