Har-su Jahan Mein Sham O Sahar DhunDte Hain Hum

har-su jahan mein sham o sahar DhunDte hain hum

jo dil mein ghar kare wo nazar DhunDte hain hum

in bastiyon ko phunk ke KHud apne hath se

apne nagar mein apna wahi ghar DhunDte hain hum

juz reg-zar kuchh bhi nahin ta-hadd-e-nigah

sahra mein saya-dar shajar DhunDte hain hum

taslim hai ki juDta nahin hai shikasta dil

phir bhi dukan-e-aina-gar DhunDte hain hum

jis ki ada ada pe ho insaniyat ko naz

mil jae kash aisa bashar DhunDte hain hum

kuchh imtiyaz-e-mazhab-o-millat nahin hamein

ek mo'tabar rafiq-e-safar DhunDte hain hum

is daur mein jo fan ko hamare parakh sake

wo sahab-e-zaban-o-nazar DhunDte hain hum

hath aaega na kuchh bhi ba-juz sang-e-be-bisat

uthle samundaron mein guhar DhunDte hain hum

'ajiz' talash-e-shama mein parwane mahw hain

hairat unhen hai un ko agar DhunDte hain hum

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-su Jahan Mein Sham O Sahar DhunDte Hain Hum In English By Famous Poet Ajiz Matvi. Har-su Jahan Mein Sham O Sahar DhunDte Hain Hum is written by Ajiz Matvi. Read famous Poem Har-su Jahan Mein Sham O Sahar DhunDte Hain Hum for youth and Student by Ajiz Matvi. Free Download Har-su Jahan Mein Sham O Sahar DhunDte Hain Hum in PDF.