Raste Ke Pech-o-KHam Kya Shai Hain Socha Hi Nahin

raste ke pech-o-KHam kya shai hain socha hi nahin

hum safar par jab se nikle muD ke dekha hi nahin

do ghaDi ruk kar Thahar kar sochte manzil ki baat

raste mein koi aisa moD aaya hi nahin

zindagi ke sath hum nikle the le kar kitne KHwab

zindagi bhi KHatm hai mausam badalta hi nahin

ek diya yaadon ka tha raushan thi jis se bazm-e-shab

jaane kya guzri kai raaton se jalta hi nahin

zindagi bhar pai-ba-pai hum ne kurede apne zaKHm

hum se chhuT kar us pe kya guzri ye socha hi nahin

aarzu thi khinchte hum bhi koi aks-e-hayat

kya karen ab ke lahu aankhon se Tapka hi nahin

is tarah kaise ho 'ajmal' chaara-e-dil ki ummid

dard apna aaKHiri had se guzarta hi nahin

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Ke Pech-o-KHam Kya Shai Hain Socha Hi Nahin In English By Famous Poet Ajmal Ajmali. Raste Ke Pech-o-KHam Kya Shai Hain Socha Hi Nahin is written by Ajmal Ajmali. Read famous Poem Raste Ke Pech-o-KHam Kya Shai Hain Socha Hi Nahin for youth and Student by Ajmal Ajmali. Free Download Raste Ke Pech-o-KHam Kya Shai Hain Socha Hi Nahin in PDF.