Itraata Gareban Par Tha Bahut, Rah-e-ishq Mein Kab Ka Chaak Hua

itraata gareban par tha bahut, rah-e-ishq mein kab ka chaak hua

wo qissa-e-azadana-rawi, us zulf ke hathon pak hua

kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan

izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua

jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigDi

har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua

KHush rahiyo sun ai baad-e-saba kahin aur tu apne naz dikha

tu jis ke baal uDati thi wo shaKHs to kab ka KHak hua

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itraata Gareban Par Tha Bahut, Rah-e-ishq Mein Kab Ka Chaak Hua In English By Famous Poet Ajmal Siddiqi. Itraata Gareban Par Tha Bahut, Rah-e-ishq Mein Kab Ka Chaak Hua is written by Ajmal Siddiqi. Read famous Poem Itraata Gareban Par Tha Bahut, Rah-e-ishq Mein Kab Ka Chaak Hua for youth and Student by Ajmal Siddiqi. Free Download Itraata Gareban Par Tha Bahut, Rah-e-ishq Mein Kab Ka Chaak Hua in PDF.